Thursday, February 10, 2005

khamosh Sajda kiya

Khamosh Sajda maine kiya ..
Zameen ki dadhkan suni..
Kuch woh kehti thi...
Kuch mai Sunta tha..
Kehne se pehle Sunna..
Mujh sikhaya gaya tha..(KHamosh)

Raste thode se the..
Par hasile Manzil nazdeek na thi..
Pyaar Jatane se nahi hota..
Un he yeh sikhana tha..
Dabhe hotun ki batt woh sune..
Toh Sajda mera Kabool hota..(KHamosh)

Kyun aisa hai hota ..
lafz zubaan par hai..
par unme Awaz nahin hoti..
Khayaluun mai woh hai..
Par haqeeqat mai nahi..

Abh toh yeh ayeen hai
Kafire Khaqsaar bayaan karoon
Sajda khamosh na ho..
Kuch mai bhi bayaan karun..




Kuch kehta hoon

Kuch Sunta hoon
Kuch kehta hoon
Hai yakeen abhi khudh pe
Ki kuch toh abhi Zinda hoon

Lafzh Halke pade hai
Ki Insaan ko baya karta hoon
Kis rekti ko bayan karoon
KHaqsar banke abh bhi sharminda hoon..Kuch Sunta hoon

Kuch Farishtey Mile

Kuch Farishtey Mile ...
Sakht Pareshan the..
Tumhe dekh ke Arzoo karne lage..
Kash woh bhi Bashar hote...

Kuch Fhool toh khile ..
par tumhare bhagh ko dek ke..
Duwa woh karne Lage..
Kash woh aap ke Kante hi hote...

Mushtaq Zamana ke ranj mai..
Firta hai Khaqsar..
Waqt ke tufaah toh uthe..
Naav kinare pe leghe...