Thursday, February 10, 2005

khamosh Sajda kiya

Khamosh Sajda maine kiya ..
Zameen ki dadhkan suni..
Kuch woh kehti thi...
Kuch mai Sunta tha..
Kehne se pehle Sunna..
Mujh sikhaya gaya tha..(KHamosh)

Raste thode se the..
Par hasile Manzil nazdeek na thi..
Pyaar Jatane se nahi hota..
Un he yeh sikhana tha..
Dabhe hotun ki batt woh sune..
Toh Sajda mera Kabool hota..(KHamosh)

Kyun aisa hai hota ..
lafz zubaan par hai..
par unme Awaz nahin hoti..
Khayaluun mai woh hai..
Par haqeeqat mai nahi..

Abh toh yeh ayeen hai
Kafire Khaqsaar bayaan karoon
Sajda khamosh na ho..
Kuch mai bhi bayaan karun..




1 comment:

Unknown said...

Khamosh sajda hota hai apne liye
Use jaban milti hai jab
Woh hota he sabke liye.